Pages

Monday, October 13, 2014

A beautiful song on Indo-Pak peace by Gulzar

Lakeeren hain.. toh rehne do
Lakeeren hain.. toh rehne do,
Kisi ne rooth kar,
Gusse mein shayad khench di thi
Inhi ko ab banao paala,
Aur aao Kabaddi khelte hain
Lakeeren hain.. toh rehne do!
Kisi ne rooth kar,
Gusse mein shayad, kheench di thi
Kisi ne rooth kar,
Gusse mein shayad, kheench di thi 

Inhi ko ab banaao paala
Aur aao.. aur aao Kabaddi khelte hain
Lakeeren hain toh rehne do

Mere paale mein tum aao, mujhe lalkaaro
Mere haath par tum haath maaro, aur bhaago
Mere paale mein tum aao, mujhe lalkaaro
Mere haath par tum haath maaro, aur bhaago
Tumhe pakdu liptu,
Aur tumhe waapas na jaane doon 


Laqeerein hain toh rehne do 


Tumhaare paale mein
jab kodi-kodi karta jaaun main
Tumhaare paale mein
jab kodi-kodi-kodi-kodi karta jaaun main
Mujhe tum bhi pakad lena
Mujhe chhoone nahi dena
Mujhe tum bhi pakad lena
Chhoone nahi dena
O sarhad laqeerein!
 
Kisi ne rooth kar,
Gusse mein shayad khench di thi
Kisi ne rooth kar,
Gusse mein shayad khench di thi
Unhi ko ab banao paala
Aur aao, aur aao kabaddi khelte hain
Lakeeren hain toh rehne do..

A post by a friend from Trivandrum Kerla ആർദ്ര എസ് നായർ

End Firing at Indo-Pak Border

No comments:

Post a Comment